Yeh video zikr e qalbi ka tarika zikr jari na hony ki wajuhat k bare mein hai.murshid e pak syedna Gohar Shahi madazila ul aali ki talbeen e haq se rohani guftagu.jis mein apne irshad furmaya k “ kabi kabi apne dil par hath rukho,jab dil ki dharkan mehsoos ho to us k sath allah hoo milao.aik dharkan k sath allah aur dousri k sath hoo.apne suna ho ga k Lal Shahbaz r.a khud b dhamal daltay thy aur logo ko b kehtay k dhamal dalo.hazrat ameer kalaal r.a logo ko kabudi khilatay thy.wali ko kabudi khelnay ki kya zaroorat hai?woh logo ko khub doratay jab un k dil ki dharkan ubhar aati to phir kehtay k aub kabudi ko choro,aub dil ki dharkan k sath allah ka zikr karo.isi tara Lal Shahbaz r.a dhamal daltay aur logo ko b kehtay k dhamal dalo.us mein b yehi hikmat thi k di ki kharkan ubhary to us k sath allah hoo milaya ja sukay.aub yeh zamana aur hai aub is zamany k leye b aik tarika hai ka beth kar zikr ki zarbain lagao,aik gunta tak jab zikr karo gay to dil ki dharkan ubhar aaey gi,phir aik dharkan k sath allah aur dousri k sath hoo milain.zikr jari na hony ki wajuhat ko bayan furmaty huy apne irshad furmaya k: jis ko zikr ki ijazat di jati hai us ki rooh ko farishtay bait ul mamoor mein lay jaty hain manzoori k leye.to allah un se pochta hai k is ko kyun le kar aaey ho?woh kehtay hain k Aeh Allah ! teri dosti k leye.ager us ko manzoor na ho to woh keh daita hai k mujy manzoor nahin hai.phir who bunda hazar walion k pas b jaey to us ka qalb jari nahin hota kyun k allah ne manzoori nahin di.